us ko bhi ham se mohabbat ho zaruri to nahin
ishq hi ishq ki qīmat ho zaruri to nahin
ek din aap ki barham-nigahi dekh chuke
roz ik taaza qayamat ho zaruri to nahin
meri shamon ko havaon ne bujhaya hoga
ye bhi un ki hi shararat ho zaruri to nahin
ahl-e-duniya se marasim bhi baratne honge
har nafas sirf ibadat ho zaruri to nahin
dosti aap se lazim hai magar is ke liye
saari duniya se adavat ho zaruri to nahin
pursish-e-hal ko tum aaoge us vaqt mujhe
lab hilane ki bhi taqat ho zaruri to nahin
saikḌon dar hain zamane men gadai ke liye
aap hi ka dar-e-daulat ho zaruri to nahin
bahami rabt mein ranjish bhi maza detihai
bas mohabbat hi mabbat ho zaruri nahin
zulm ke daur se ikra-e-dili kafī hai
ek ḳhun baġhavt ho zaruri to nhin
ek misra bhi jo zinda rhe kaafī hai ‘sabā’
mere har sher ki shohrat to zaruri to nahin
Saba Akbarabadi