Khwab Palkon Ki Hatheli Peh Chuney Rehte Hain
Kon Jane woh kabhi neend churane aaye
Mujh peh utray mere ilham ki barish ban kar
Mujh ko ik boond samandar mein chuphane aaye
Jab mein sanwaron tou woh gulnar kare mera tabassum
Jab mein hans doon tou woh ghuncha sa chatkhana chahe
Jab mein tanha hoon mera hath pakar le aakar
Jab mein chup hoon tou woh badal sa barasna chahe
Mere barson ki udaasi ko silla kuch tou milay
Us se keh do woh mera qaraz chukanay aaye
Woh mere kanptey honton ki sadayen son le
Ya mere zabt ko izhar ka lehja day day
Ya mujhe torr day ik gehri nazar se choo kar
Ya chum ke takhleeq ko sancha day day
Meri tarteeb utha jaye khuda ki manind
Aur mit jawon tou phir mujh ko banane aaye
Khwab palkon ki hatheli peh chunay rehte hain
Kon jane woh kabhi neend churane aaye
Khalil-ur-Rehman qamar