is se pahle ki be-wafa ho jaaen
kyuu na ai dost ham juda ho jaaen
tu bhi hiire se ban gaya patthar
ham bhi kal jaane kya se kya ho jaaen
tu ki yakta tha be-shumar hua
ham bhi TuTen to ja-ba-ja ho jaaen
ham bhi majburiyon ka uzr karen
phir kahin aur mubtala ho jaaen
ham agar manzilen na ban paaen
manzilon tak ka rasta ho jaaen
der se soch men hain parvane
raakh ho jaaen ya hava ho jaaen
ishq bhi khel hai nasibon ka
ḳhaak ho jaaen kimiya ho jaaen
ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipTen tiri qaba ho jaaen
bandagi ham ne chhoḌ di hai ‘faraz’
kya karen log jab ḳhuda ho jaaen
Ahmed Faraz