apne bistar pe bahut der se main nim-daraz
sochti thi ki vo is vaqt kahan par hoga
main yahan hun magar us kucha-e-rang-o-bu mein
roz ki tarah se vo aaj bhi aaya hoga
aur jab us ne vahan mujh ko na paaya hoga!?
aap ko ilm hai vo aaj nahin aai hain?
meri har dost se us ne yahi puchha hoga
kyun nahin aai vo kya baat hui hai aḳhir
ḳhud se is baat pe sau baar vo uljha hoga
kal vo aa.egi to main us se nahin bolunga
aap hi aap ka i baar vo ruTha hoga
vo nahin hai to bulandi ka safar kitna kaThin
sidhiyāñ chaḌhte hue us ne ye socha hoga
rāhdārī meñ hare lawn meñ phūloñ ke qarīb
us ne har samt mujhe aan ke DhūñDā hogā
naam bhūle se jo merā kahīñ aayā hogā
ġhair-mahsūs tarīqe se vo chauñkā hogā
ek jumle ko ka.ī baar sunāyā hogā
baat karte hue sau baar vo bhūlā hogā
ye jo laḌkī na.ī aa.ī hai kahīñ vo to nahīñ
us ne har chehra yahī soch ke dekhā hogā
jān-e-mahfil hai magar aaj faqat mere baġhair
haa.e kis darja vahī bazm meñ tanhā hogā
kabhī sannāToñ se vahshat jo huī hogī use
us ne be-sāḳhta phir mujh ko pukārā hogā
chalte chalte koī mānūs sī aahaT pā kar
dostoñ ko bhī kis uzr se rokā hogā
yaad kar ke mujhe nam ho ga.ī hoñgī palkeñ
”āñkh meñ paḌ gayā kuchh” kah ke ye Taalā hogā
aur ghabrā ke kitāboñ meñ jo lī hogī panāh
har satar meñ mirā chehra ubhar aayā hogā
jab milī hogī use merī alālat kī ḳhabar
us ne āhista se dīvār ko thāmā hogā
soch kar ye ki bahal jaa.e pareshānī-e-dil
yūñhī be-vaj.h kisī shaḳhs ko rokā hogā!
ittifāqan mujhe us shaam mirī dost milī
maiñ ne pūchhā ki suno aa.e the vo? kaise the?
mujh ko pūchhā thā mujhe DhūñDā thā chāroñ jānib?
us ne ik lamhe ko dekhā mujhe aur phir hañs dī
is hañsī meñ to vo talḳhī thī ki is se aage
kyā kahā us ne mujhe yaad nahīñ hai lekin
itnā ma.alūm hai ḳhvāboñ kā bharam TuuT gayā!
Parveen Shakir